Dil

Dil behlana matlab

dil lagana to nahi

dil dena matlab

dil mein jagah banana to nahi

Tu

tuzhe kya pata kya gujaratee hai muzh per,
tu to muzhe dariya mein daal ke kinare se dekhtee hain;
sahil bhi tera gulam hai aur lehrein bhi,
dono hi muzhe bachaney se pehle tere se poochtee hain

Bhavna

Kabhi sawan barsata hain
kabhi patzhad tadapta hain
magar seeney mein mere
ab bhi dil tera adhadkta hain

woh tera pyara zhutha tha
ya woh ikrar zhutha hain
yeh ya woh pal samazhata hain
ya tera mann samazhta hain

Taqdeer

Saalon guzarney se rishtey tutte hain kya?

dooree se ummeedein mittee hain kya?

raahein alag alag ho jaane se

taqdeerein badaltee hain kya?

Sandesh

Tera Mera ek college
mein hona yeh itefaaq nahin
yeh iss sansaar ka koi sandes hain
iss sandes ka tuzhe
koi jawab dena hoga
ya to apna dil dena hoga
ya phir mera dil rakhna hoga

Aaadat

Mere aankhon ko
tere chehre kee
aadat padd gayee hain

tuzhe dekhtey dekhtey
mere chashme ka number badh gay ahain

ab to tu ek nazar daal aye zaalim
tere intezaar mein
mera weight bhi badh gaya hain

Chahat

Kehte hain..

Kehtey hain kii agar
chaahat ki chaah ho
to yun sama banta hain

sansar bhi rahu ketu ko
milakar ek karta hain

to aye deewano
tumhari kya baat hain
maang lo tumhe jo chahiye
bhagwan bhi tumse
yehi chahta hain

Tuzhe Dekhun

Main bass tumhe dekhtey rahun
iss veeran sannatey mein
ab yeh sansar mitt jaayen
ya phir hum hi mitt jaayen

Tuzhe dekhun to bas ek pal
jaise gehree khamoshi chaa jaayen
yeh bazaar sust ho jaayen
yeh shahar tham jaayen

tufaan thahar jaayen
baarish ruk jaayen
dharatee kaa ghumna rik jaayen
suraj kaa taaj zhook jaayen

Bhram

Yeh teri khamoshi hain
ya hai tere pyaar ki zuban

tu muzhse kuch keh rahee hain
yaa muzhe koi bhram ho raha hain

yaa to tu muzhe yeh zuban seekha dey
nahi to mera bhram todd de

Doori

kya nazdeekee ya doori ka
priye hain apna yeh naata
kaise main samzhaun tumko
main khud samazh nahin paata

tum sarhad ke paar basin ho
main hindustanee sirf kehlaata
des videsh ke beech ki seema
main khud samazh nahi paata

raste kiske nadiyaan kiski
kya parvat baanta jaata
insaano ka khoon bahe kyun
main khud samazh nahi paata

« Older entries